COLONY SETUP colony setup mein hum kuch pairs ek sath ek cage mein lagate hein ... jis ki waja se
un ka dana paani karna aasan ho jata hai time bhi kam lagta hai .... birds daikhne mein bhi ziyada
khush nazar aate hein ... kam jaga mein or kam kharche mein colony ban jati hai ..kiun k ek hi cage chahiye hota hai .
NUQSANAT. in chUnd faidon k sath kafi masail ka samna bhi karna parhta hai jin ki waja se is asani ka maza kirkara ho jata hai ... nuqsanat to bohat hein kuch ka zikar karta hun .... ek to ye k jab ap ko colony
lagai kuch din ho gaye to koi new bird ap colony mein chorhein to us bechare ki shamat aa jati hai har koi usey marna apna furz samajhta hai .... or box ya matkiyon mein se jo matki ideal location par lagi ho usey haasil karne k liye bhi jang daikhne mein milti hai .... aksar birds k feathers or kisi birds ki tail hamien tooti hui milti hai .... jab chicks box ya matki se bahir aata hai to doosre birds usey new comor jante hue us ki khichaai mein lag jaate hein ..... chicks ko box se baahir aane k bad bhi kuch din parents ki zaroorat hoti hai feed k liye ....lekin daikha gaya hai k jab ek se ziyada pairs k chicks baahir aa jate hein to unhein bajai help k ek doosre k parents se mar parti rehti hai ... kuch to bechaare mar kha kha k mar jaate hein or kuch ujhre feathers or tooti tail k sath k sath zinda bach jate hein ... or ek khaas baat ye hai k birds ki bimari ka mun andaza aksar us ki dropping ko daikh kar lagate hein lekin colony mein agar humein koi abnormel dropping mile to ye jan na mushkil ho jata hai k ye dropping kis bird ki hai ...yani bimari ko cover karna bhi colony mein mushkil ho jata hai .... ye yaad rakhien k bimar bird doosre birds ko bhi bimar karta hai usey alag karna zaroori hota hai .... lekin colony mein uski shanakht mushkil ho jati hai ..
ALAG ALAG PAIR LAGANA .alag alag pairing karne se mara mari ka khatra nhi rehta ... chicks bhi doosri females k hamle se mehfooz rehte hein .... bimari ko control karna asan hota hai ... or ap apni marzi ki female ko apni marzi k male se laga ker apni pasand ki breed haasil kar skte hein ... breeding result bhi colony setup k muqable 100% barh jata hai ..ye pehchan rehti hai k kon sa chick kis pair ka hai ...or bhi bohat se faide hein isliye mere nazdeek alag alag pairing karna hi best hai ....
NUQSANAT . dana paani krne mien time ziyada lgta hai ... cages ka kharcha ziyada hota hai .... birds k liye jaga ziyada chahiye hoti hai .... is k ilaawa koi problem maine nhi daikhi .... lekin bhai agar acha shoq karna hai to kuch to keemat adaa karni hi parhe gi ...
CAGE MANAGEMENT AND PAIRING
CAGE MANAGEMENT budgerigar k liye 18x18x24 ka cage kam az kam hona chahiye... matki se behter hai k ap box use karien take ap pair ko behter tarike se handle kar skein .. cage mein ek perch lagaien jo box k hole k samne kuch fasle par ho .... box ki apni perch bhi zaroor lagaien is se birds boxs mein aane jaane mien asani mehsoos karta hai or aksar is par baith kar hi male female ko feed karwata hai ... or ye dhiyan rakhein k jo perch apne lagai hai wo mazbooti se qaim ho agar wo dheeli hai to hilti rahe gi or agar perch hilti rahe to aksar jab male mating karne lagta hai to balance nhi rakh pata jis ki waja se aksar proper mating nhi ho pati isliye perch aise lagaien k hilti na ho.
PAIRING . pairing k liye hamesha healthy or active birds ka intkhab karein kiun k healthy birds se hi
umeed ki ja skti hai k wo hamein healthy chicks dein ge ... agar birds moulting par hein ya bimar hein to
unki pairing na karein jab tak wo ready na ho jaein .....
CRESTED PAIRING . cresed budgies ki pairing karte hue round crest k
sath round crest na lagaein kiun k
maine daikha hai k is se chicks ka size bohat acha nhi banta ..or crested chicks laine k liye round crest k sath round crest lagane ki zaroorat bhi nhi hoti ...... ap round crest k sath tufted lagaien to bhi apko crested chicks hasil honge ... single crest k sath single crest lagaien .... or bhai split do tarha k hein ek wo
jis k parents dono crested hon or ek wo hein jin k parents mein se ek to crested hai lekin doosra normal hai ya split hai ... dono kisam k split mein se wo split jin k parents dono crested hon wo ziyada crested nikalne ki ehliyat rakhte hein ... is liye ap aise split agar ache crest k sath lagaien to crested ziyada niklien ge .... crested ko normal k sath nhi lagana chahiye is se crest nikalne ka chance kam hota hai ... haan agar ap barhe size k crested birds banana chahte hein to phir aisa kia ja skta hai ......
EXHIBITION PAIRING . exhibition ki pairing karte hue size or head shape ka dhiyan rakhien ... maine daikha hai k kuch exhibitions ka size bohat acha hota hai lekin un ka head koi khaas nhi hota or kuch birds ka size to itna acha nhi hota lekin un ki head shape achi hoti hai ...agar ap k paas 1 pair se ziyada exhibition hein to pair lagate hue koshish karein k dono birds normal head shape k na lagaien ... dono mein se kam az kam
ek ki to head shape achi ho taake chicks ache size or achi head shape k niklein ... or agar birds to normal hein lekin un k parents ache size or achi line k the to bhi chicks ache size k nikal skte hein .....
FOSTER PAIRS . agar ap crested k ya exhibition k kuch pairs lagana chahte hein to to behter hai 2 , 4 pairs common budgie k bhi laga lein foster pairs k tor par .... kiun k exhibitions k eggs or chicks k liye aksar
foster pairs ki zaroorat parhti hai .. or is k kitne faide hein ye ap agar lagaien ge to pata chal jai ga ..aage chal kar mein kafi aise masail par baat karun ga jin k hul k liye foster pair laazmi hasiyat rakhte hien .......
MATING AND NESTING
NESTING .jab ap box lagaien to khiyaal rakhien k agar ap ka box new hai to us ka fursh slippery to nhi ..... behter hai agar box new hai to kisi nok dar cheez se us ka fursh raghar k usey khurdara kar lein .... kiun k slippery fursh aksar splayed legs ki waja banta hai ..... or muthi bhar wood shaving box mein dal lein .... ap parali ko bareek kat k bhi dal skte hein .... wood shave mein thorha sa coopex powder bhi mila lein is se chicks ants or doosre chote chote keerhe makorhe se mehfooz rehte hein ....
MATING. ek ache pair ko lagne k bad 12 se 15 din mein zaroor mating kar laini chahiye ...agar is se ziyada time ho gya hai to behter hai k ap male ya female mein se ek ko badal lein.... exhibitions agar ziyada wazni ho gaye hein to bhi jaldi mating nhi karte ..is liye un ki diet aisi rakhien k wo ziyada wazni na hon yani un per cherbi bilkul na aane dein .... or bhai exhibition k vent area se feathers kat k saaf kar lein itne k apko vent asani se nazar aane lage taake mating proper tareeke se ho ske ... ye koi zaroori nhi hai lekin behter zaroor hai kiun k aksar exhibition ki vent par feathers ziyada hone ki waja se proper mating nhi ho pati or result ye nikalta hai k eggs infertile reh jate hein .
EGGS AND PROBLEMS .
EGGS KI TADAAD sari females mein ande daine ki silahiyat ek jaisi nhi hoti .... kuch females 4 se 5 or kuch
6 se 8 ande daiti hein .... kiun k eggs ki tadad ka kam ya ziyada hota female per depend karta hai ..... aisi females hi behter hoti hein jo 4 se ziyada ande dein ... eggs ki tadad mei kami calcium ki kami ki waja se bhi hoti hai isliye calcium ki kami na hone dein .. us k bad bhi jo females 4 se kam ande daiti hein wo theek nhi hein .... lekin agar ap k paas ziyada pairs hein to aisi females jo kam ande daiti hein wo zaya nhi hein ap unhein foster k tor par istamal ker skte hein ...us k baare mein mazeed wazahat aage aye gi ....
EGG BINDING experts k mutabik agar diet mein calcium ya vitamin d ki kami hai to female k pathe kamzor reh skte hein jis ki waja se ye masla banta hai ..... experts k nazdeek zetoon ka tail halka garam kar ke female ki vent par lagaien or garam mahol mein rakhien or 1ml liquid calcium syringe k zarye seeda crop mein dal dein to kisi had is masle se nijat mil skti hai ... or us k bad us female ko kam az kam 6 months tak
pair mein na lagaien ...... lekin bhai is ka tajruba maine khud nhi kia kiun k Allah ka ehsaan hai k aj tak egg binding se wasta hi nhi parha .... ap diet mein munaasib calcium shaamil rakhien to inshaallah ap ka wasta bhi nhi parhe ga ...
KACHA ANDA .ye masla bhi calcium ki kami ki waja se hi banta hai .... female mein kisi kisam ki infection se bhi aisa hota hey lekin ziyada tar ye calcium ki kami ki waja se hota hai .... ande ka chilka bunne k liye kafi calcium darkar hota hai agar calcium ki kami ho to poori tarha se calcium nhi mil pata or ande ka chilka kacha reh jata hai ... ande daine k bad female mein calcium ki kami ho jati hai or agar ap ne wo kami poori na ki to jab female dobara ande daiti hai to ye masla ban skta hai .... isliye ande daine k doran ap birds ko calcium zaroor dein taake un mein jo kami ho wo poori ho jai ......
FEMALES KA EGGS KO BAHIR PHIENK DAINA ye ek bohat hi buri adat hai jis ki waja se saare ande zaya ho jate hein kiun k bahir phienkhte hue hi ande toot jate hein or zaya ho jate hein ..... main to aisi female ko dobara pair mein lagata hi nhi .... lekin agar female keemti ho to usey zaya to nhi kia ja skta ... isliye ek hul hai jis se kisi had tak is masle se nijat mil jati hai jab female ande daine lage to jaise jaise female anda de ap sath sath uthate rahien or kisi doosre pair k neeche rakh dein or ande ki jaga white color ki goli jise hum aam zuban mein baanta kehte hein wo rakh dien ... female white baante ko bhi anda samjhe gi or bahir phienkne ki koshish kare gi lekin wo kamyab nhi hogi ... isi tarha koshish kar kar k wo thak jai gi or aahista aahista us ki ye aadat khatam ho jai gi ....
FEMALES KA EGGS KO KHANA . ye bhi bohat hi buri aadat hai kisi bird mein to ye vitamins ki kami se hota hai lekin kisi kisi ko ye aadat ho jaati hai .... males ko bhi ye aadat daikhne mein aai hai lekin bohat kam .... is ka bhi behter hul yehi hai k eggs sath k sath utha liye jaien ... lekin kuch females to is ka moqa hi nhi daitin jaise hi wo anda daiti hein sath hi kha bhi jati hein ... aksar to pata hi nhi lagta k anda dia bhi k nhi .... aisi females bhi mere nazdeek pair mein lagane like nhi hien ... lekin agr koi female bohat qeemti hai or usey ye masla ban gya hai or ap us k ande laina chahte hein to hul hai bus thori mehnat karni parhe gi ..... ek aisa box lien jis k andar painda ho yani dhalwan ho us k darmiyan fursh mein ek 20mm ka hole bana lein ..box cage k outside lagaien box k neeche koi bhi plate type cheez laga dien jis mien ap parali ya woodshave dal dien ...jab female box mien anda daigi wo hole mien se nikal kar plate me a gire ga or parali ki waja se wo toote ga bhi nhi ... ap wo anda utha k kisi or pair k neeche rakh k chicks le skte hien ...
SIRF EK ANDA .aksar oqat aisa hota hai k female sirf ek hi anda daiti hai ...zaroori nhi k wo female kharab hai ap wo anda kisi or pair k neeche rakh dien taake female dobara ande de ske ...
EGGS KA THANDA HONA agar female bimar ho gyi hai ya ache tareeke se eggs ko incubate nhi kar rhi to eggs thande ho jaien ge or thanda hone se aksar egg k andar embryo mar jata hai ... isliye agar ap deikhien k eggs thande hien to unhien zaroor kisi or pair k neeche rakh dien taake wo kharab na hon .... or breeding k liye hamesha achi incubator females hi istamal karien..
FERTILITY. eggs ka fertile hona ya na hona sirf male per depend karta hai ... aam tor per anda 6 se 7 din mien fertile ho jata hai .... exhibitions mein aksar ye masla daikhne mein aata hai k eggs to chahe 6 se 8 hon lekin fertile 2 ya 3 hote hein ... iski waja ye hai bhai k ek to exhibition ka breeding result waise hi low hai doosra diet mein vitamins or minerals etc ki kami ki waja se rahi sahi kasar bhi nikal jati hai ... yaad rakhien exhibition ko common or crested ki nisbat ziyada vitamins or minerals ki zaroorat hoti hai .... khaas tor per selenium or vitamin E ki kami bilkul na hone dein ... crest hon ya exhibition proper mating hona
bhi eggs ki fertility k liye laazmi hai .... kuch females proper mating k bina hi eggs de daiti hien lekin wo eggs infertile hi rehte hein .... vent area kisi had tak saaf rakhien or perch mazbooti se lagaien taake proper mating ho ske ... diet bhi theek ho or vent bhi saaf ho or perch bhi na hilti ho agar phir bhi eggs fertile nhi hue to 100% phir bhi nhi keh skte k male bilkul hi faarig hai ... baz dafa aisa hota hay k male kisi female se qudrati tor par hi shi mating nhi kar pata .... isliye ek dafa usey kisi or female k sath laga k bhi daikh laina chahiye .... or us ki diet mein vitamin E ka izafa karien evion capsule kafi behter hein is k liye or imunotone bhi kafi behter hai is mein vitaminE k sath sath selenium bhi hai .... in sab baton k bad bhi agar eggs infertile hi niklein to male ko market ka raasta dikha dein ....
FERTILITY CHECK KARNA bhai ajkal candle ka koi dor nhi hai ap choti torch lien ya mobile ki torch on kar lien or ande ko uthaien or torch us k neeche laga kar daikh lien ... is tarha anda roshan ho jai ga or agar wo fertile ho gya hai to ap ko us mien bareek bareek khoon ki nalian nazar aane lagien gi to samjhien k anda fertile ho gya hai .... aam tor par anda 6 se 7 dinon mien fertile ho jata hai ....
EGGS MARKING ye zaroori nhi hai lekin agar ap karein to is ka bohat faida mehsoos karein ge ... ap ki females aam tor par ek din chorh k ek din anda daitin hein ... jab pehla anda aaye ap us per marker se 1 likh dein us k bad jab doosra anda aaye to us per 2 likh dein ..isi tarha tamam andon per bari bari likh dein ... is ka faida ye hoga k kuch dinon k bad jab eggs fertile hone lagien ge to ap ko asani se aise ande ka pata chal jai ga jis ne fertile hona hi nhi ... agar ap deikhien k 1 , 3 , 4 ,number eggs fertile ho gaye hein to pata lag jai ga k 2 number anda fertile nhi hoga ... kiun k 3 number anda us k bad aaya tha ... to ap 2 number anda box se nikal dein ... lekin phiekien nhi wo bhi kaam aaye ga wo aage chal kar likhun ga ... is tarha anda box se nikal daine ka jo faida hai wo bhi aage likhne laga hun ....
BOX MEIN EGGS KI TADAD KA TAWAZUN OR USKI WAJA . bhai 6 se 8 ande daine wali females kuch kam hein or 6 se 8 andon ko theek tareeke se incubate karne wali females us se bhi kam hein or us k bad 6 se 8 chicks ki theek tarha se parwarish karne wali females to bohat hi kam hein .... isliye bajai is k k hum 6 se 8 andon mein se sirf 4 ya 5 chicks hi paien kiun na hum un k izaafi ande un pairs k neeche rakhien jinhon ne 4 se kam ande diye hein ya jin k andon mein se hum ne kuch ande infertile hone ki waja se nikal diye hein .... pairs ek jitne ande nhi daite kuch kam or kuch ziyada daite hein ... ap khud andon ki tadad har box mien ek tawazun se rakhien .... yani mark karte jaien taake yaad rahe k kon sa anda kis pair ka hai or ande idher k udher karte jaien ...or har box mien 4 se 5 ande rehne dien wo bhi sab k sab fertile .... to aap deikhien ge k aap ka breeding result bohat barh jai ga kiun k aam tor par 4 se 5 chicks ki parwarish pairs bohat ache tareeke se karte hein or chicks marte kam hein or size bhi ache banate hein .
KHAAS BAAT .mere aksar bhaion ko ye fiker rehti hai k hath lagane se ya deikhne se ande kharab na ho jaien ya female unhein zaya na kar de .... to bhai aisa koi masla nhi hai ye sab weham hein budgies or mera saath salon purana hai maine kabhi bhi aisa koi masla nhi daikha or mark karne se bhi ande ko kuch nhi hota bus itna zor na lage k ande mein sorakh ho jai .... pencil hargiz na use karien sirf marker ....
EGGS KA HATCH HONA YA NA HONA . aam tor per budies k ande 18 se 21 din tak hatch hojate hein ..... lekin KAI DAFA AISA HOTA HAI K ande fertile tohue they lekin chicks nhi nikle ... is ki kai wajoohat hein ek ye k vitamins ki kami ki waja se khaas tor per vitamin B12 ki kami ki waja se chick kamzor hota hai ... us mien ande k chilke ko torhne ki taqat nhi hoti jis ki waja se wo ande hi mein mar jata hai .... isliye vitamins ki kami bilkul bhi na hone dien vitamins kitne zaroori hien ye main pehle ek thread mien likh chuka hun .... ande hatch na hone ki ek waja ye bhi hai k aksar anda birds ki poop ki waja se ganda ho jata hai or poop sookhne k bad bohat sakht ho jata hai jiski waja chick ande ka chilka tor nhi pata or mer jata hai ... isliye box k mahol ko jitna ho ske saaf rakhien ... poop jame ande ko 40 se 42 temperature wale pani or foam k sath saaf kia ja skta hai ... lekin anda saaf karna aksar khaternak hi saabit hota hai ....
CHICKS AND CARE .
KHAAS BAAT bhai do batien hien ..ek ye k ap k birds ne ap ko breed di or doosri k apne birds se breed li .... agar ap sirf pehli baat per rahien ge to poori tarha se kamyab breeder nhi ban skte ... ache breeding results haasil karne k liye ye dono batien honi chahiyien ... yani birds bhi breed daine wale hon or ap bhi
breed laina jante hon yani birds ki sath sath help karien......
FIRST 10 DAYS .... bhai chicks pehle 10 din mein bohat nazuk or hasaas hote hien ... female ki taraf se zara si bhi be parwai chicks k marne ka sabab ban skti hai .... isliye in dinon mein ziyada ehtiyat ki zaroorat hoti hai .... bhai agar ap breeding ko sirf birds k hi hath chorh dien ge to kabhi bhi bohat acha result nhi le skien ge ... pair per nazar rakhien k wo chicks ko feed karwa raha hai ya nhi .. rat ko ek bar check kar laine mien koi masla nhi hai k chicks ki crop khali hien ya bhari hui ... agar chicks ki crop ap ko aksar khaali milti hien to is ka matlab hai k pair chicks ko feed sahi tor par nhi karwa rha ... to aap chicks utha kar kisi or pair k neeche rakh dien jis k neeche us age k chicks hon .. or ek baat rozana diekhne se birds ko kuch nhi hota lekin agar ap k box bahir lage hon to .... main phir dohra dun k budgies or mera sath bohat purana hai maine koi masla bhi nhi deikha .
EK HI BOX MIEN ZIYADA CHICKS HONA . agar ap k pair k neeche 5 se ziyada chicks hien to jo chick sab se chota hoga uske barhe chicks k neeche dab k mar jane ka khatra bhi ho jata hai ... or aksar aisa hota hai k barhe chicks feed laite rehte hien or chote ki bari nhi aane daite to ya to chota chick mar jata hai ya size theek nhi bana pata .... isliye behter hai k aap usey kisi or pair k neeche rakh dien jis k neeche chicks 4 ya us kam hon ...
CHICK KA THANDA HO JANA . kisi bhi waja se agar female chick per nhi baith rahi to wo thand se mar jai ga agar ap kisi chick ko thanda diekhien to usey muthi mien le kar phoonk maarien taake usey garmai pohnche us k bad chick kisi or pair k neeche rakh dien ... lekin agar chick 20 din ya ziyada ka hai to darne ki koi baat nhi ... foster pairs ka mashwara maine isi liye dia tha .. kiun k aise kai maslon ka wahid hal
bas yehi hai k ap chicks ko kisi or pair k neeche rakhien .
BOX MIEN 4 CHICKs SE KAM HONA . agar box mien chicks 4 se kam hien to un mien ek 2 kharab ande bhi rakh dien is se chicks ko apna balance barkrar rakhne mien madad milti hai or wo female k ziyada dabao se bhi mehfooz rehte hien ...
EK HI CHICK HONA agar box mien 1 hi chick ho to aksar females us ki care nhi kartin is liye behter hai k wo chick aap kisi or pair k neeche rakh dien .. or agar koi or pair bhi mojood nhi hai to aap 2 se 3 kharab ande us k sath rakh dien taake chick female k ziyada dabao se mehfooz rhe or is se heat mien bhi madad milti hai ... or splayed legs jaise masle se bhi hifaazat ho jati hai ... isi liye kharab andon ko bhi zaya nhi karna chahiye khaas to par jo barhe size k hon ...
LAWARIS CHICKS. in sab baton k bawajood aisa moqa aa skta hai k kisi chick ko perents ki zaroorat hai lekin ap k paas koi pair bhi is position mien nhi hai .. to majboori hai agar ap ko chick ki jaan bachani hai to khud us ki khidmat karni parhe gi ... yani hand feed daini hogi ... us k liye khaas tor par Crop Needles bani hui hien .. ap wo le skte hien ... or agar ziyada kharcha nhi karna chahte to crop needle ap khud bana skte hien ..
SASTI CROP NEEDLE. ek 5ml ki aam syringe le lien or ek feeding tube ... feeding tube bhi ap ko medical store se mil jai gi 30 se 35 rupe mien ... us k number hote hien agar ap ka chick 10 din k aas paas ka hai to 4 number ki lien or agar 15 din k aas paas ka hai 6 number lien or agar 20 din ya us se ziyada ka hai to 8 number lien ...ye asani se syringe k aage fit ho jati hai is k aage ek foot lamba pipe sa hota hai jise ap kat kar chota kar lien ... yani 1 inch ya kuch ziyada rehne dien .... shayed tasweer se kuch wazahat ho jai ... ye aap ki crop needle tyaar hai ... hand feed formula to aap ko laina hi parhe ga us ka koi mutbadil nhi hai ... lekin agar sirf ek ya do bar ki zaroorat hai to double roti ka tukra le kar usey paani se naram kar lien or us mien ek do drops vidaylin k mila lien or syringe mien bhar k de dien .
RING DALNA jab chick 10 se 12 din ka ho jai to us k paon mien ring dalien taake us ki khoobsoorti mien bhi izafa ho or aage chal k us ki age bhi aasani se pata lag ske .
CHICK KA BOX SE BAHIR AANA aam tor par chicks 35 se 40 din ka hoke box se bahir aajata hai .. us k bad bhi usey kuch din parents ki zaroorat hoti hai .... us k bad wo khud kafeel ho jata hai .. kuch chicks is se pehle bhi box se nikal aate hien .... ek baat ka khiyaal rakhien k aksar jab chicks box se bahir aa jate hien to us k bad aksar females unhien bardaasht nhi karti or unhien marti hien agar ap aisa diekhien to chick ko dobara box mien dal dien phir female nhi mare gi ...
KHAAS BAAT ye sab batien sunne mien aisa lagta hai k bohat time lage ga jab k aisa nhi hai agar ap apne birds mien din mien do bar bhi jaien to ye sab kuch kar skte hien ... agar do bar bhi nhi ja skte phir aap ko koi shoq hai hi nhi ..... lihaza birds ki zindagi or paise zaya na karien ... meri is bat ka koi bhai bura na manana main jo mehsoos karta hun bus wohi kaha hai ...
-------------------------------------------------
----------------------------------
How To Make Crested Exhibition Budgerigars Mutation
AoA ..... bhai mainey 2 pairs lagaye .....
pair no 1 ..... exhibition male x crested female (green male x cinamon female)
pair no 2 .....exhibition female x crested male (blue female x green male)
pair no 1 ka result = 3 chicks haasil huway jin mein say ek male chick tufted thaa ..
pair no 2 ka result = 4 chicks haasil huway jin mein say 2 tufted thay jin ka tuft na honay k baraber tha lekin thaa .... in mein say ek female thi .......
mainay pair no 1 say niklay tuft male ko pair no 2 say nikli tuft female say laga diya ......
result = sirf 3 chicks haasil huway 2 tuft thay ek double tuft thaa .......... mainay double tuft male ko pair no 1 say nikli ek split female say laga diya jo achay size mein thi ........
result = ek yeh chick nikla jis ki pics mainay share ki ... ek double tuft nikla wo bhi mashallah behter size mein hai or do split females nikli
pair no 1 ..... exhibition male x crested female (green male x cinamon female)
pair no 2 .....exhibition female x crested male (blue female x green male)
pair no 1 ka result = 3 chicks haasil huway jin mein say ek male chick tufted thaa ..
pair no 2 ka result = 4 chicks haasil huway jin mein say 2 tufted thay jin ka tuft na honay k baraber tha lekin thaa .... in mein say ek female thi .......
mainay pair no 1 say niklay tuft male ko pair no 2 say nikli tuft female say laga diya ......
result = sirf 3 chicks haasil huway 2 tuft thay ek double tuft thaa .......... mainay double tuft male ko pair no 1 say nikli ek split female say laga diya jo achay size mein thi ........
result = ek yeh chick nikla jis ki pics mainay share ki ... ek double tuft nikla wo bhi mashallah behter size mein hai or do split females nikli
1 comment:
Proper veterinary care, proper hygiene and diet can greatly extend their life expectancy. The average cockatiel will live for at least fifteen years, but it is recommended that you give them the best possible nutrition to prolong their life. Get more interesting details about guidance for per care check this website.
Post a Comment